jam de aur na kar waqt pe takrar ki bas saqiya abr utha hai ye dhuan-dhaar ki bas kya tamasha hai jo kal raat wo lae tashrif be-khudi ne ye liya aan ke yakbar ki bas kyun na dil aise ko dun main ne kal un se jo kaha dard hota hai mere dil mein ye ai yar ki bas sunte hi ho ki hum aaghosh kaha hans ke tujhe dard-e-dil ki hai dawa aur bhi darkar ki bas rashk se kyun na jale mehr-e-darakhshan 'maruf' hai mere yar ki ye garmi-e-bazar ki bas