jo walihana lagan mujh ko apne fan se hai isi tarah ki mohabbat mujhe watan se hai guzarna garche hamein tirgi ke ban se hai hamara wasta ummid ki kiran se hai waqar-e-sar nahin dastar-o-taj ka muhtaj waqar-e-sar jo hai qaem to bas kafan se hai hai fasl-e-qurb koi duriyan na phailae moamla to yahan ruh ka badan se hai go meri pyas mein shamil hai aab-e-zam-zam bhi pe parwarish to meri gang aur jaman se hai tera bayan to ek inkishaf hai 'yunus' ki dil ki baat numayan sukhan sukhan se hai