ek fasl-e-dard aath pahar chun raha hun main jo kat rahe hain rah mein sar chun raha hun main parwaz ke baghair to jina muhaal hai sayyaad ne jo kate hain par chun raha hun main sathi the kaise kaise mere jo bichhad gae palkon se un ki gard-e-safar chun raha hun main taid ke liye mujhe anjum ki hai talash ek anjuman ke shams-o-qamar chun raha hun main kat bhi chuka wo kab ka jo tha muddai-e-fan ab purza-ha-e-dast-e-hunar chun raha hun main kya dil-kharash kaam hua hai mere sipurd ek zard-rut ke barg-o-samar chun raha hun mein