jo ye dil hai to kya sar-anjam hoga ta-khak bhi khak aaram hoga mera ji to aankhon mein aaya ye sunte ki didar bhi ek din aam hoga na hoga wo dekha jise kabk tu ne wo ek bagh ka sarw-andam hoga na nikla kar itna bhi be-parda ghar se bahut us mein zalim to badnam hoga hazaron ki yan lag gain chhat se aankhen tu ai mah kis shab-e-lab-e-baam hoga wo kuchh jaanta hoga zulfon mein phansna jo koi asir ta-dam hoga jigar-chaaki nakaami duniya hai aakhir nahin aae jo 'mir' kuchh kaam hoga