lekhe ki yan bahi na zar-o-mal ki kitab hai apne haq mein wa-shud-e-dil fal ki kitab bulbul ka zer-e-baal na beja samajh tu hai us ke mutalee mein par-o-baal ki kitab mazkur zulf hai mere diwan mein sar-ba-sar har safha us ka kyun na bane jal ki kitab fursat mili to khama-e-baal-e-tadarw se aashiq tere likhenge teri chaal ki kitab juz yasfikuddimaa ki aaya na wo padhe quran ho garche us but-e-qattal ki kitab shakl-e-urus chhat na khush aawe mujhe kabhi rakh den jo mere samne ashkal ki kitab dekhe jo ghaur se koi diwan mere to han har bait hai zamane ke ahwal ki kitab sharm-e-gunah se aab hua garche main wale dhoi gai na nama-e-amal ki kitab paya na sad-o-nahs se koi waraq tahi taron ki main ne khub jo ghirbaal ki kitab kis tarah roz-e-hashr wo howenge srukh-ru dekha kiye hain yan jo khat-o-khal ki kitab is dahr mein bulandi-e-azhan-e-kund se main garche jaanta tha inhen fal ki kitab har jild 'mushafi' tere diwan ki wale nuqton se shak ke ban gai rummal ki kitab