jo ye jism sar-ta-qadam dekhte hain tumhen tum ko hum ai sanam dekhte hain ye sab aap hi ki hai guft-o-shunid jo gosh-o-zaban-o-qalam dekhte hain aur aapi ka hai sab ye jalwa miyan jo pesh-e-nazar dam-ba-dam dekhte hain jo hain mahw-e-didar hum is qadar ye aapi ka lutf-o-karam dekhte hain piya jab se jam-e-sharab-e-tahura tabhi se to dam hain adam dekhte hain tan-o-jaan-o-dil jumla-harkat mein shah-e-qul-ho-allah ko hum dekhte hain tumhein ho 'safi' shah-e-mardan ki did na hum besh dekhen na kam dekhte hain