ishq jhela hai to chehra zard hona chahiye husn ke shaidaiyon ko mard hona chahiye bad-gumani ponchh kar aanchal se koi chum le is liye taswir par kuchh gard hona chahiye sach kaho to har kahani dastan apni hi hai aadmi ke dil mein thoda dard hona chahiye aaj ke boson mein sachchai ki surkhi hai kahan ai musawwir in labon ko zard hona chahiye is makan mein rahne wale murda-dil insan hain is mahal ke pattharon ko sard hona chahiye ek jaise chehre-mohre ek jaisi niyyaten bhid mein sab se alag ek fard hona chahiye man ka aanchal tham kar rona bahut aasan hai dur rah kar rone wala mard hona chahiye