jo zakhm jama kiye aankh-bhar sunata hun sunoge band zaban kya nazar sunata hun jo sun sako to sukut-e-pas-e-nawa bhi suno yahi to main tumhein sham o sahar sunata hun nigah lao jo rang-e-sada kashid kare ki main to khamoshiyon ke hunar sunata hun yahi kamal hai mere alag takallum ka khabar bhi hoti nahin jo khabar sunata hun agarche ek hi dariya ki naghma-khwani hai kinara saut teri main bhanwar sunata hun tumhaare waste shayad mera kalam na ho jinhen khabar nahin main kya khabar sunata hun thahar gaya hai mere harf ka yahi mear dhuan udata nahin main sharar sunata hun