aankhon se wo kabhi meri ojhal nahin raha ghafil main us ki yaad se ek pal nahin raha kya hai jo us ne dur basa li hain bastiyan aakhir mera dimagh bhi awwal nahin raha lao to sirr-e-dahr ke mafhum ki khabar uqda agarche koi bhi mohmal nahin raha shayad na pa sakun main suragh-e-dayar-e-shauq qibla durust karne ka kas-bal nahin raha dasht-e-fana mein dekha musawat ka uruj ashraf nahin raha koi asfal nahin raha hai jis ka takht sajda-gah-e-khas-o-am-e-shahr main us se milne ke liye be-kal nahin raha jis dam jahan se dolti doli hi uth gai tabl o alam to kya koi mandal nahin raha