jo zamane ka ham-zaban na raha wo kahin bhi to kaamran na raha is tarah kuchh badal gai hai zamin hum ko ab khauf-e-asman na raha jaane kin mushkilon se jite hain kya karen koi mehrban na raha aisi beganagi nahin dekhi ab kisi ka koi yahan na raha har jagah bijliyon ki yurish hai kya kahin apna aashiyan na raha muflisi kya gila karen tujh se sath tera kahan kahan na raha hasraten badh ke chumti hain qadam manzilon ka koi nishan na raha khun-e-dil apna jal raha hai magar shama ke sar pe wo dhuan na raha gham nahin hum tabah ho ke rahe hadsa bhi to na-gahan na raha qafile khud sambhal sambhal ke badhe jab koi mir-e-karwan na raha