pahle hota tha bahut ab kabhi hota hi nahin

pahle hota tha bahut ab kabhi hota hi nahin
dil mera kanch tha tuta to ye rota hi nahin

wo jo hanste the mere sath unhen dhundun kahan
kaisi duniya hai jahan ka koi rasta hi nahin

ek muddat se main baithi hun yahi aas liye
chand aangan mein mere kis liye utra hi nahin

mujh ko malum nahin raunaq-e-mahfil kya hai
dasht-e-tanhai se dil mera nikalta hi nahin

kya ajab shakhs tha har baat pe khush rahta tha
waqt kya badla ki wo dhunde se milta hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close