jo zauq-e-nazar ho to turki mein aa kar hayat-e-azima ke aasar dekho laga kar nai chashmak-zani ham-saron se laqab jis ka tha mard-e-bimar dekho mitane pe jis ke tula tha zamana ubharta hai wo turk-e-tatar dekho ba-izhaar-e-jurat ye zor-e-sadaqat hue kis tarah zer aghyar dekho ba-sad shan jata hai antakya ko ataturk ka khal-e-jarrar dekho jo soe hue the jo khoe hue the kiya un ko yak-lakht bedar dekho sambhalti hain gir kar chamakti hain mit kar ye hain zinda qaumon ke atwar dekho