musalman ghaur kar kyun aaj teri wo pahli aabru baqi nahin hai masaib ghair ke pesh-e-nazar hain ragon mein wo lahu baqi nahin hai ghazab hai bhai ka dushman hai bhai ukhuwwat ki wo khu baqi nahin hai masaib ghair kai pesh-e-nazar hain khud apni justuju baqi nahin hai kiya pairahan-e-din is tarah chaak ki ab ja-e-rafu baqi nahin hai anadil kyun na hun dil-gir-o-khamosh gulon mein rang-o-bu baqi nahin hai zabanon par to hai allah allah dilon mein hae tu baqi nahin hai