jo zindagi ke har ek dhaare mein jagta hai tera badan is charagh-pare mein jagta hai gurez kaise karega mere wajud se tu ki tera suraj mere sitare mein jagta hai mujhe khabar hai khamosh soya hua ye dariya kahin kisi dusre kinare mein jagta hai bahut kathin to nahin hai sach ko talash karna ki ye lahu ke har istiare mein jagta hai wo shakhs yun hi nahin mere sath chalne wala kahin koi faeda khasare mein jagta hai