tamam umr mayassar bas ek KHana hawa

tamam umr mayassar bas ek khana hawa
main apni zat ke sanduq mein purana hua

mahaz-e-waqt se agle padaw ki jaanib
main ruk gaya to koi dusra rawana hua

nazar utha ke phalon ki taraf nahin dekha
shajar se tek lagae hue zamana hua

ye kaenat bhi qad ki munasibat se thi
ki ek parind ko pata bhi shamiyana hua

'nasim' is se bada ranj aur kya hoga
wo mujh se puchh raha hai ki kaise aana hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close