jo zindagi mein kabhi justuju nahin karta mera khuda bhi use surakh-ru nahin karta ye mera dil to dhadakta hai zahiran lekin kisi bhi shai ki ye dil aarzu nahin karta kisi ke qurb ne mujh ko bana diya shair wagarna shairi main to kabhu nahin karta kisi ne dekh liya to kahega diwana jo apna chaak-e-gareban rafu nahin karta jo jaisa hai use waisa hi ye dikhata hai ye aaina to kabhi bhi ghulu nahin karta main aise shakhs ki aankhon ko pak samjhunga nazar jo su-e-zan-e-khub-ru nahin karta faqir hun tere dar ka tujhe sada di hai ai jaan-e-jaan main sada ku-ba-ku nahin karta wo jis ne beach ke zewar tujhe padhaya tha ajab hai phone tak us man ko tu nahin karta hamara ishq abhi haal-e-ehtizar mein hai to phir use koi kyon qibla-ru nahin karta mahak rahi hain fazaen gulon ki khushbu se chaman mein rah ke tu ehsas-e-bu nahin karta zamin-e-sher ho banjar to us zamin pe kabhi darakht sher-o-sukhan ka numu nahin karta kitab-e-ishq ko chhune ke waste 'nuri' wuzu zaruri hai to kyon wuzu nahin karta