apne beganon mein main ne farq kuchh paya nahin is liye lab par koi shikwa kabhi laya nahin aasman-e-dil pe baadal gham ka yun chhaya raha han magar aankhon se main ne us ko barsaya nahin khush-gawari ka tassur aa gaya chehre pe yun zakhm jo dil par laga tha wo to bhar paya nahin tum ne ghairon ke liye mujh se kiya jang-o-jadal mere ikhlas-o-wafa ne tum ko tadpaya nahin apni mahrumi ka main kyun kar karun shikwa bata jaanta hun raat ka hota koi saya nahin sair-tan ki wadiyon ki to kiya wo bar bar ruh ki gahraiyon mein par utar paya nahin kaisi qurbat wasl kya aur kya qarar-e-jaan-o-dil waqt ne sab kuchh diya main ne magar paya nahin kaisi ulfat pyar kaisa aur kya mehr-o-wafa shahr mein mere to aisi shai koi laya nahin