joban un ka uthan par kuchh hai ab mizaj aasman par kuchh hai kya thikana hai baat ka un ki dil mein kuchh hai zaban par kuchh hai wada hai ghair se ye hila hai kaam mujh ko makan par kuchh hai hur ka zikr kyun kiya dam-e-marg shubh mere bayan par kuchh hai gum-shuda dil na ho kahin mera un ki mahram ki pan par kuchh hai ho ke ruswa kise kiya ruswa zikr sab ki zaban par kuchh hai kyun na ho shauq jalwa-e-lab-e-baam ab jawani uthan par kuchh hai kaho mehman-e-gham se ab rukhsat qarz kya mezban par kuchh hai bang hi de jo mai nahin waiz teri unchi dukan par kuchh hai main ne ghura to ham-damon se kaha dekho us naujawan par kuchh hai rakh diya hath un se ye kah kar thahro ai jaan ran par kuchh hai koi chhup kar gaya hai ghair ke ghar shak qadam ke nishan par kuchh hai baale pahne ulat ke kanon mein aur ghabrae kan par kuchh hai hun yahan is liye dakan ko 'riyaz' rashk hindostan par kuchh hai