safar naya tha na koi naya musafir tha wahi talab thi wahi aashna musafir tha dayar-e-dard ki pur-haul rahguzaron mein tera khayal koi dusra musafir tha jo dekhta hun to diwar-e-aina ke udhar meri hi shakl ka ek be-nawa musafir tha nazar mili thi ghadi bhar ko phir mila na kabhi na jaane kaun tha kis des ka musafir tha