josh-e-junun mein nikle hain jab apne ghar se hum mil mil ke khub roe hain diwar-o-dar se hum taqdir ka likha na mitega kisi tarah ragden hazar sar ko tere sang-e-dar se hum achchhi kahi ki wasl mein hum se na boliye baaten karenge aaj bhi diwar-o-dar se hum ulfat raqib ki na chhupegi kisi tarah ai jaan tad lenge tumhaari nazar se hum chalne ko chalte hain magar ai bani-e-fasad zinda na phir ke aaenge dushman ke ghar se hum phute hue nasib ki ye bhi hain gardishen sar phodte jo phirte hain diwar-o-dar se hum din ho gaya tamam na matlab hua tamam likhte hain nama yar ko baithe sahar se hum dekho jo aankh utha ke to jhunjhla ke kahte hain tang aae bahut hi hain badon ki nazar se hum ye rashk hai ki yar se baaten karega ye ladte hain baat baat pe paighambar se hum dekhenge kitni apni muqaddar mein hai kaji ek din milaenge teri tirchhi nazar se hum shayad tere huzur mein pahuncha de khatt-e-shauq paida karenge rabt tere nama-bar se hum dikhlaenge kabhi asar-e-ah-e-atishin samjhenge ek din falak-e-fitna-gar se hum bahla rahe hain dil shab-e-tanhai-e-firaq pahron se baaten karte hain diwar-o-dar se hum wahshat ye chahti hai ki sahra ki sair ho dil chahta hai mar ke uthen us ke dar se hum 'shabnam' ki kuchh khabar nahin kis haal mein hai ab puchhenge ek roz nasim-e-sahar se hum