kis jagah jalwa nahin ai mah-e-taban tera pa hi jata hai tujhe har kahin khwahan tera kaun dekhe tujhe us mah-jabin ke hote munh udhar ko rahe ai mehr-e-darakhshan tera tere sae ko bhi tujh tak na phatakne deta yar hota jo ye nachiz nigahban tera kisi aashufta ka kya sabr pada hai us par kyon pareshan hai gesu-e-pareshan tera le ke dil mujh se koi apna na kaam is se liya kash aaina hi hota dil-e-hairan tera aaj hai wasl ki shab ja bhi tera munh kala phir na dikhlae khuda munh shab-e-hijran tera jaan se tang hun par jaan se jaun kyunkar mujh ko marne bhi to deta nahin arman tera kaun jae dar-e-dildar se uth kar waiz khair achchha hi sahi rauza-e-rizwan tera sher is mein nahin ye phul khile hain 'shabnam' hur ke hath ka guldasta hai diwan tera