josh ubalta hai pighalti hai tamanna dil mein aag hi aag hai is soz-sarapa dil mein tera jalwa hai ki rangin sa dhoka dil mein kabhi zulmat kabhi paida hai ujala dil mein ab nahin tere do-alam ki zarurat mujh ko ishq ne tere basa di nai duniya dil mein apni aankhen to utha mahw-shuda jalwe bhi nazar aaenge tujhe anjuman-ara dil mein naz tha un ko ki har qaid se aazad hain wo main ne kar hi liya paband-e-tamanna dil mein phunkta rahta hai kaunain ko jin ka partaw be-zarar hai unhin jalwon ka tamasha dil mein aap hi baada hun main aap hi saqi 'makhmur' saghar aankhon mein meri aur hai mina dil mein