be-sabab humse wo bezar nazar aate hain

be-sabab hum se wo bezar nazar aate hain
dukh ke har chaar su ambar nazar aate hain

kal talak jin ko thi hum se nisbat hamdam
aaj ghairon ke talabgar nazar aate hain

jab bhi tarikh ke auraq palat kar dekhun
azmat-e-rafta ke minar nazar aate hain

kis ko fursat hai yahan dusron ke gham bante
log khushiyon ke kharidar nazar aate hain

gard mein karwan ki aaj mujhe mubham se
dur manzil ke kuchh aasar nazar aate hain

khair ki jin se kisi ko na thi koi ummid
wo bhi ab mail-e-sar nazar aate hain

aakhirash guzri 'sabiha' ye andheri shab bhi
khair se subh ke aasar nazar aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close