joshish-e-ashk se hun aath pahr pani mein garche hote hain bahut khauf-o-khatar pani mein zabt-e-girya ne jalaya hai daruna sara dil achambha hai ki hai sokhta-tar pani mein aab-e-shamshir-e-qayamat hai burinda us ki ye gawarai nahin pate hain har pani mein tab-e-dariya jo ho aashufta to phir tufan hai aah baalon ko paraganda na kar pani mein gharq aab-e-ashk se hun lek uda jata hun jun samak go ki mere dube hain par pani mein mardum-e-dida-e-tar mardum-e-abi hain magar rahte hain roz o shab o sham-o-sahar pani mein haiat aankhon ki nahin wo rahi rote rote ab to girdab se aate hain nazar pani mein girya-e-shab se bahut aankh dare hai meri panw rukte hi nahin bar-e-digar pani mein fart-e-girya se hua 'mir' tabah apna jahaz takhta pare gae kya jaanun kidhar pani mein