raftar-e-umr qat-e-rah-e-iztirab hai is sal ke hisab ko barq aaftab hai mina-e-mai hai sarw nashat-e-bahaar se baal-e-tadrraw jalwa-e-mauj-e-sharab hai zakhmi hua hai pashna pa-e-sabaat ka ne bhagne ki gun na iqamat ki tab hai jadad-e-baada-noshi-e-rindan hai shash-jihat ghafil guman kare hai ki geti kharab hai nazzara kya harif ho us barq-e-husn ka josh-e-bahaar jalwe ko jis ke naqab hai main na-murad dil ki tasalli ko kya karun mana ki tere rukh se nigah kaamyab hai guzra 'asad' masarrat-e-paigham-e-yar se qasid pe mujh ko rashk-e-sawal-o-jawab hai zahir hai tarz-e-qaid se sayyaad ki gharaz jo dana dam mein hai so ashk-e-kabab hai be-chashm-e-dil na kar hawas-e-sair-e-lala-zar yani ye har waraq waraq-e-intikhab hai