juda hote nahin aise bhi kuchh aazar hote hain

juda hote nahin aise bhi kuchh aazar hote hain
safar ke aakhiri raste bade dushwar hote hain

jo chehre par likhi tahrir padh lete hain pal bhar mein
kuchh aise log hain misl-e-sitara-bar hote hain

yahan jo bhi hai sab baatil nazar ka ek dhoka hai
to phir kis baat par hum yunhi dawedar hote hain

chattanon par hare patte kahin naghma-sara patthar
nawed-e-zindagi ke ye hi to aasar hote hain

hamari bhigti aankhen tumhaare muskuraate lab
mohabbat ke yahi lamhe bade sarshaar hote hain

hamari muskurahat to hamare gham chhupati hai
hamare raaz-dan ghar ke dar-o-diwar hote hain

safar jitna bhi tai paya ye sara khel lagta hai
yun lagta hai sabhi kar-e-hunar be-kar hote hain

jo tum ne kar diya so kar diya dariya mein jaane do
phir is ke baad to shikwe gile be-kar hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close