ek tasalsul se ek aziyyat ko jaanib-e-dil uchhaalta hai koi

ek tasalsul se ek aziyyat ko jaanib-e-dil uchhaalta hai koi
ek mushkil se nim-jaan ho kar khud ko kaise sambhaalta hai koi

bujhti palkon se takti wahshat shukr kar hum tujhe mayassar hain
hamein jo rog ho gae lahiq dekh wo bhi ujalta hai koi

imtihan mein pade hue ye log ek tassuf se dekhta hai jahan
hae aise kharab haalon ke kahan shajre khangalta hai koi

gard-e-rah-e-safar hi hain hum log ain-mumkin hai bhul jao hamein
jis tarah ghar ka faltu saman be-dili se nikalta hai koi

baad mere bhi kitne log aae tum ko achchhe lage tumhaare hue
kya kabhi chup ki saaton mein tumhein meri tarah sambhaalta hai koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close