juda karenge na hum dil se hasrat-e-dil ko aziz kyun na rakhen zindagi ke hasil ko nihan agarche hai mahfil se soz-e-dil mera magar ye raaz hai malum sham-e-mahfil ko wo tul khincha bala ka tere taghaful ne ki sabr aa hi gaya mere muztarib dil ko kathin hai kaam to himmat se kaam le ai dil bigad kaam na mushkil samajh ke mushkil ko wo kaam mera nahin jis ka nek ho anjam wo rah meri nahin jo gai ho manzil ko khabar hui na unhen mere muztarib dil ki ghalat khayal hai ye dil se rah hai dil ko bala ki hoti hai 'wahshat' ki bhi ghazal-khwani ki ek surur sa hota hai ahl-e-mahfil ko