kahte ho ab mere mazlum pe bedad na ho sitam-ijad ho phir kyun sitam ijad na ho nahin paiman-e-wafa tum ne nahin bandha tha wo fasana hi ghalat hai jo tumhein yaad na ho tum ne dil ko mere kuchh aisa kiya hai nashad shad karna bhi jo ab chaho to ye shad na ho jo giraftar tumhaara hai wahi hai aazad jis ko aazad karo tum kabhi aazad na ho mera maqsad ki wo khush hon meri khamoshi se un ko andesha ki ye bhi koi fariyaad na ho main na bhulun gham-e-ishq ka ehsan 'wahshat' un ko paiman-e-mohabbat jo nahin yaad na ho