juda kisi se kisi ka gharaz habib na ho ye dagh wo hai ki dushman ko bhi nasib na ho juda jo hum ko kare us sanam ke kuche se ilahi rah mein aisa koi raqib na ho ilaj kya karen hukama tap-e-judai ka siwae wasl ke is ka koi tabib na ho 'nazir' apna to mashuq khubsurat hai jo husn us mein hai aisa koi ajib na ho