juda kiya to bahut hi hansi-khushi us ne badal diya hai ab andaz-e-be-rukhi us ne wo rang rang uda khushbuon mein phail gaya jhatak diya hai mera daman-e-tahi us ne jise suna ke mujhe khauf-e-sar-zanish sa raha usi kalam pe badh-chadh ke dad di us ne wo mere sath shuru-e-safar chala tha magar hujum-e-shahr mein li rah aur hi us ne hua hun jurat-e-jurm-e-wafa se bhi mahrum saza ye di ki khata meri bakhsh di us ne ab apni koi sada hai na apna koi pata pila diya hai mujhe zahr-e-agahi us ne dar-e-sukut pe 'haali' bahut hai shor-e-sada bapa kiya hai wo tufan-e-khamushi us ne