aawaz ka us ki zer-o-bam kuchh yaad raha kuchh bhul gae kitna dilkash tha mera sanam kuchh yaad raha kuchh bhul gae kis darja hasin tha wo lamha jo qissa-e-parina hai ab jab us ki nazar mein the bas hum kuchh yaad raha kuchh bhul gae go aise lamhe kam aae lekin hain wo mera sarmaya kab kab wo hua mail-ba-karam kuchh yaad raha kuchh bhul gae wo ruthne aur manane ka ehsas abhi tak baqi hai kya kya the us ke qaul-o-qasam kuchh yaad raha kuchh bhul gae wo khwab dikhata tha mujh ko main is pe bharosa karta tha qaim na raha wadon ka bharam kuchh yaad raha kuchh bhul gae aae ho abhi jate ho kahan is ka ye kahna abhi aaya kar dena meri phir nak mein dam kuchh yaad raha kuchh bhul gae ye bhuli-bisri yaaden hain sarmaya-e-zist mera 'barqi' kis tarah karun mein is ko raqam kuchh yaad raha kuchh bhul gae