judai bhi qarabat ki tarah thi magar saat nahusat ki tarah thi lipat ke so gaya main zindagi se ghazab-naki inayat ki tarah thi wo fateh tha magar jazbe se aari hamari haar nusrat ki tarah thi hiran ki aankh mein dahshat thi zinda magar ye chashm hairat ki tarah thi guzari thi jo saat sath tere nazar mein wo amanat ki tarah thi yaqin karna guman ke daere mein tabiat us ki aurat ki tarah thi abhi jo khak ki paiwand si hai falak-bos ek imarat ki tarah thi dua man ki muhafiz thi nahin to saubat bhi qayamat ki tarah thi