main ghar se zehn mein kuchh sochta nikal aaya sadak pe khauf ka ek silsila nikal aaya wo ek dard shagufta gulab ho kar bhi badan pe zakhm sa jaise naya nikal aaya sulagti dhup ne is darja kar diya be-tab mujhi se saya mera hanpta nikal aaya safed-poshon ki tauqir ke tahaffuz mein hamare shahr ka tabqa bada nikal aaya mujhe wo rakhta hai masruf kis nazakat se ki gham se rishta mera dusra nikal aaya wo ek lams tha us ka hayat ka zamin chhua jo ped to patta hara nikal aaya