judaiyon ke tasawwur hi se rulaun use

judaiyon ke tasawwur hi se rulaun use
main jhut-mut ka qissa koi sunaun use

use yaqin hai kitna meri wafaon ka
khilaf apne kisi roz warghalaun use

wo tapti dhup mein bhi sath mere aaega
magar main chandni-raaton mein aazmaun use

ghamon ke sahra mein phirta rahun use le kar
udasiyon ke samundar mein sath laun use

maza to jab hai use bhid mein kahin kho dun
phir us ke baad kahin se main dhund laun use

ye kya ki roz wahi soch par musallat ho
kabhi to aisa ho kuchh der bhul jaun use

kuchh aur khwab bhi us se chhupa ke dekhe hain
kuchh aur chehre nigahon mein hain dikhaun use

wo gili mitti ki manind hai magar 'hamid'
zaruri kya hai ki apna hi sa banaun use


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close