kahan tahriren main ne bant di hain hunar tadbiren main ne bant di hain tumhaare khwab ne takhir kar di sabhi tabiren main ne bant di hain likho ghar ke sabhi afrad mein ab meri taqdiren main ne bant di hain kai ghazlen tumhaare nam likkhin badi jagiren main ne bant di hain suno in gunge-bahre baam-o-dar ko kai taqriren main ne bant di hain meri aankhen jinhen mahfuz kartin wo sab taswiren main ne bant di hain mere qaidi mere alfaz 'hamid' sukhan zanjiren main ne bant di hain