judaiyon se jo paiman kar raha hun main ye mushkilen teri aasan kar raha hun main bila-jawaz lagai nahin hai khud ko aag bujhe charagh pe ehsan kar raha hun main zara bhi khak udai nahin hai wahshat mein guzarne walon ko hairan kar raha hun main laga raha hun jo main bar bar dil se tujhe ye apne jism ko gul-dan kar raha hun mein mujhe khabar thi judai mein faeda hai magar sabhi ne samjha ki nuqsan kar raha hun main hai mere pas ek achchhi khabar bara-e-junun zara ruko koi elan kar raha hun main jawaz koi nahin dusri mohabbat ka ye aur baat ki 'mannan' kar raha hun main