inkar ke pahlu mein hai inkar kam-o-besh

inkar ke pahlu mein hai inkar kam-o-besh
diwar ke aage bhi hai diwar kam-o-besh

dushman se raha barsar-e-paikar main tanha
sab apni bachate rahe dastar kam-o-besh

ye mulk hunar walon ke haq mein nahin sahib
ghurbat mein yahan marte hai fankar kam-o-besh

mahke hue ajsam mein rahta hun hamesha
rahti hai mere chaar-su mahkar kam-o-besh

ye shahr kisi khauf mein rahta hai musalsal
is shahr ke khulte nahin bazar kam-o-besh

main dekhne mein dost parindon ki tarah hun
ab mujh se gale milte hain ashjar kam-o-besh

ab subh se 'mannan' nahin milna milana
ab der se hota hun main bedar kam-o-besh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close