juDe hue hain pari-KHane mere kaghaz se

jude hue hain pari-khane mere kaghaz se
jo uth rahe hain ye afsane mere kaghaz se

katarta rahta hai miqraaz-e-chashm se mujh ko
banana kya hai use jaane mere kaghaz se

qalam ne nok-e-alam kya rakhi ba-chashm-e-dil
chhalakne lag gae paimane mere kaghaz se

raqam karun bhi to kaise main dastan-e-wafa
huruf phirte hain begane mere kaghaz se

abhi rakhi bhi nahin lau charagh par main ne
lipat gae kai parwane mere kaghaz se

kudal-e-khama se bota hun main junun 'sarim'
so ugte rahte hain diwane mere kaghaz se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close