jugnu guhar charagh ujale to de gaya wo khud ko dhundne ke hawale to de gaya ab is se badh ke kya ho wirasat faqir ki bachchon ko apni bhik ke pyale to de gaya ab meri soch sae ki surat hai us ke gird main bujh ke apne chand ko haale to de gaya shayad ki fasl-e-sang-zani kuchh qarib hai wo khelne ko barf ke gale to de gaya ahl-e-talab pe us ke liye farz hai dua khairaat mein wo chand niwale to de gaya 'mohsin' use qaba ki zarurat na thi magar duniya ko roz-o-shab ke doshaale to de gaya