us ko apni zat khuda ki zat lagi hai mere dil ko pagal ki ye baat lagi hai kajjug hai aur phir dukhdon ki barsat lagi hai nuh ki kashti mere ghar ke sath lagi hai mere pas tahi-dasti hai darweshi hai ye daulat kab shahzadon ke hat lagi hai gori-chatti dhup na joban par itrae din ke pichhe kali kali raat lagi hai ek hasin firaun ko bazm-e-sher-o-sukhan mein meri ghazlon ki pustak tauraat lagi hai main insan ko maut ka dulha kah deta hun mujh ko matam ki toli baraat lagi hai