jugnu ki raushni hai kashana-e-chaman mein ya shama jal rahi hai phulon ki anjuman mein aaya hai aasman se ud kar koi sitara ya jaan pad gai hai mahtab ki kiran mein ya shab ki saltanat mein din ka safir aaya ghurbat mein aa ke chamka gumnam tha watan mein takma koi gira hai mahtab ki qaba ka zarra hai ya numayan suraj ke pairahan mein husn-e-qadim ki ek poshida ye jhalak thi le aai jis ko qudrat khalwat se anjuman mein chhote se chand mein hai zulmat bhi raushni bhi nikla kabhi gahan se aaya kabhi gahan mein