jun bhi jo rengne nahin deti thi kan par kalak laga ke chhod gai khandan par mail hain zehn-o-fikr jo unchi udan par yun panw hain zamin pe nazar aasman par aaram se hain unchi imaraat ke makin patthar baras rahe hain shikasta-makan par arzan-farosh par nahin uthti nazar koi rahti hai bhid shahr ki mahngi dukan par jaise badan mein jaan hi baqi nahin rahi mahsus ho raha hai safar ki takan par biphre samundaron pe barasta chala gaya aaya na abr dhup mein tapte makan par dil reza reza hai to jigar hai lahu lahu kaisi bani hui hai mohabbat ki jaan par han rahrawo milegi tumhein manzil-e-hayat chalte raho hamare qadam ke nishan par khuddari-e-jamal gawara na kar saki us ne masal ke phenk diya phul lawn par 'baghi' bhatak raha hun main sahra-e-shauq mein kya naqsh us ne likh ke khilaya tha pan par