junhi nigah mein tera chehra utar gaya daman udas raat ka taron se bhar gaya us bhid mein sawal meri zindagi ka tha dastar thame hath mein tu bhi guzar gaya kab khwab-kar-e-ishq mein tai kar saka koi jitni meri bisat thi utna main kar gaya us ne jala-bujha ke sataya hazar bar jab bhi charagh use meri dene khabar gaya tark-e-talluqat ki babat 'nawed' aaj puchha jab aaine se to wo bhi mukar gaya