sharar-e-ishq sadiyon ka safar karta hua bujha mujh mein mujhi ko be-khabar karta hua rumuz-e-khak bab-e-mushtahar karta hua yunhi aabaad sahra-e-hunar karta hua zamin-e-justuju gard-e-safar karta hua ye mujh mein kaun hai mujh se mafar karta hua abhi tak lahlahata hai wo sabza aankh mein wo mauj-e-gul ko meyar-e-nazar karta hua harim-e-shab mein khun rota hua mah-e-tamam nigar-e-subh qissa mukhtasar karta hua meri mitti ko le pahuncha dayar-e-yar tak ghubar-e-jaan tawaf-e-chashm-e-tar karta hua takabbur le raha hai imtihan phir azm ka sitaron ko mere zer-e-asar karta hua falak-bosi ki khwahish tair-e-wahshat ko thi uda hai apni mitti darguzar karta hua