junun baghair kabhi aagahi nahin hoti

junun baghair kabhi aagahi nahin hoti
jale na shama to kuchh raushni nahin hoti

wo sajda sajda nahin jis mein hosh baqi ho
ba-qaid-e-hosh jo ho bandagi nahin hoti

qaba-e-husn ki tabish agar ho aankhon mein
bashar ke dil mein kabhi tirgi nahin hoti

qadam qadam pe jo khae fareb hasti ka
us aadmi ki koi zindagi nahin hoti

rumuz-e-zist se waqif hua hai jo insan
baqa-e-zist ki us ko khushi nahin hoti

bashar ke waste lazim hai jazba-e-ulfat
chaman mein gul na ho to zindagi nahin hoti

bashar ka azm nikharta hai mushkilon hi mein
alam na jis mein ho wo zindagi nahin hoti

isi umid pe 'hamdam' gunah karta hun
khuda ke ghar mein karam ki kami nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close