junun-e-ishq kisi ko bhi yun na ras aae

junun-e-ishq kisi ko bhi yun na ras aae
wo mere pas to aae magar udas aae

jise hayat kisi rukh se bhi na ras aae
kisi ke pas na jae hamare pas aae

wahan se jald guzar jaen rahrawan-e-hayat
jahan bhi rah mein koi maqam-e-yas aae

firaq-o-wasl ki rudad mukhtasar ye hai
kabhi wo pas se guzre kabhi wo pas aae

kuchh aise log bhi dekhe jo bazm-e-jaanan mein
udas udas gae aur udas udas aae

ye iztirab nahin neamat-e-musalsal hai
khuda kare koi aalam mujhe na ras aae

kisi ne ek ishaare ko bhi nahin samjha
huzur dost bahut se ada-shanas aae

gham-e-hayat-o-gham-e-dahr bakhshne wale
ek aisa gham bhi ata kar jo dil ko ras aae

adab mein 'kaif' ka dam bhi bahut ghanimat hai
muhaal hai ki ab aisa sukhan-shanas aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close