kab tasawwur mein tere dida-e-tar band kiya khana-e-aina mein tujh ko nazar-band kiya kya nazakat hai saba us ki kamar ki jis ne subh-dam tar-e-rag-e-gul se qamar-band kiya dil ka ahwal jo khulta nahin tu ne ai chashm qasid-e-ashk ko aane se magar band kiya rahat-e-khwab-e-adam dekh ke sab ne yak-dast naqsh-e-pa se kaf-e-har-khak mein dar-band kiya dekh 'maruf' ki us shokh ne shab ko yak-dast tair-e-rang-e-hina ko ba-hunar band kiya