junun-e-ishq mein sad-chaak hona padta hai is intiha ke liye khak hona padta hai kisi se jab kabhi hum zindagi badalte hain to phir badan ki bhi poshak hona padta hai zamin pe khak-nashini ka wasf rakhte hue kabhi kabhi hamein aflak hona padta hai agar main dubi use sath le ke dubungi mohabbaton mein bhi saffak hona padta hai hawa ke sath mohabbat ke dhup-sahra mein gulon ko bhi khas-o-khashak hona padta hai bisat-e-waqt ki chaalen samajh saken 'ruhi' kam-az-kam itna to chaalak hona padta hai