bad-talai ka ilaj kya ho aazar bhi ho to la-dawa ho aaine ki shakl khud-numai ho be-did ho surat-ashna ho husn-e-namkin ko le ke chaten jab apni hi zist be-maza ho ai dard-e-firaq ke marizon gharra lage is tarah karaho mahram ke jo band khol de yar bangla mere haq mein dil-kusha ho kya hai mujhe dete ho gilauri chune mein kahin na sankhiya ho dekhe na mizha ki sozan aise se we jo kisi ka dil phata ho qazi ko jo rind kuchh chata den masjid ki baghal mein mai-kada ho paya na mizaj mar mite hum kya jaaniye kis ke aashna ho maghrur ho apne husn par yar kya gham koi khush ho ya khafa ho yar aae jo mere ghar murad aae jagen jo nasib rat-jaga ho sae se tumhaare bach ke chaliye diwana banane ko bala ho mashal na sawari mein rahe sana ghoda na kahin charagh-pa ho wo chaal chalo ki dil ho taskhir hub ka tawiz naqsh-e-pa ho chahun jo falak se farsh-e-matam tuta bhi na guhar mein na boriya ho phir meri taraf phira wo qatil tasma na kahin laga raha ho jo ek kahoge do sunoge parwah nahin khush ho ya khafa ho mumtaz hain kushtagan-e-mashuq hai ain karam agar jafa ho wo meri jo botiyan udain jarjis ka martaba ata ho dam nikle hujum-e-gham mein kyun kar kuchh bhid chhate to rasta ho duniya se uthe mariz-e-furqat ai dar-e-masih tu asa ho sabze mein chah-e-zaqan hai khas-posh aisa na ho khizr se dagha ho hum zakhm-e-jigar nahin dikhate aankhen na churao khush-nigaho pesh aao har ek se aaina-dar begana ho ya ki aashna ho sikho ye tariq-e-adamiyat jo chaal chalo use nibaho talwar abru ki wo kharidi jo muft sar apna bechta ho chamke jo sitara-e-bulandi taus-e-falak mujhe huma ho ai 'bahr' nahin hai un talawwun tel maftun na kisi ke khal ka ho